Kaale gore ka bhed nahi,
Har dil se hamara naata hai.
Kuchh aur na aata ho humko,
Humein pyar nibhana aata hai.
Jeete ho kisine desh to kya,
Humne to dilon ko jeeta hai.
Jahan Ram abhi tak hai nar mein,
Nari mein abhi tak Sita hai.
Itni mamta, nadiyon ko bhi..
jahan Mata keh ke bulate hain,
Itna aadar, Insaan to kya..
patthar bhi pooje jate hain.
Us dharti pe maine janam liya.
Ye sochke main itrata hoon.