Mere pyare "D"


Kabhi kabhi dil sochta hai,
mera kya rishta tumse,
kya tumse naata hai.
Fir bhi jab tum paas ho mere,
na jaane kyun dil itraata hai.

“D” tum mere, “D” ho pyare.
Dil jhoom jhoom ye gaata hai.

Saanjh sawere , comp. pe mere
online ye ho jaata hai.
Naa aaye to jaane kya mann
soch soch ghabrata hai.

“Ye ye” karke aate tum kabhi,
“eeeeeeeee……” karke chillaate ho.
Sochta hoon tum itna
kyun mere mann ko bhaate ho.

Chhandd na pehchanu, raag na jaanu.
Fir bhi tujhpe gaan karun.
“D” mere sabse hain anokhe,
main tum pe dil jaan waarun.

Itni baatein karta tumse.
Fir bhi dil teri raah takey.
Kehta hai mann “Dhappa” keh do
Jaldi se mere paas aake.

Mann fir bhi mann hai mera.
Soch ke ye mann darr jaaye.
Toot jaayega dil mera ye,
gar tum mujhse door gaye.

Raah kabhi gar bhatak gaya main.
Galati mujhse gar ho jaaye.
Kaan pagad kar gusana mujh par
galati ye na dohra paaye.

Insaan nahi maine dekha aisa,
sabse jagat main hain nyare.
Ek nahi main, sab kehte hain.
“D” mere sabke hain pyare.

Ratna mila mujhe anokha,
Dil soch kar aaj itraata hai.
Bandhu tum mere, sakha ho mere.
sab ke mann ko bhaata hai.

“D” tum mere, “D” ho pyare,
Dil jhoom jhoom ye gaata hai.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s