Chand si mehbooba ho meri, kab aisa maine socha tha.
Haan tum bilkul waisi ho, jaisa maine socha tha.

Na kasmey hain na rasmey hain, na shikwe hain na waadey hain.

Ek surat bholi bhaali hai, do naina seedhe saade hain.
Do naina seedhe saade hain.
Aisa hi roop khayalon mein tha, aisa maine socha tha.
Haan tum bilkul waisi ho, jaisa maine socha tha.
Meri khushiyan hi na baate, mere gam bhi sehna chahe.

Dekhe na khwab wo mehlon ke, mere dil mein rehna chahe.
Mere dil mein rehna chahe.
Is duniya mein kaun tha aisa, jaisa maine socha tha.