Tu ne jo na kaha
Mein wo sunta raha
Khamakha bewajah khwaab bunta raha
Tu ne jo na kaha
Mein wo sunta raha
Khamakha bewajah khwaab bunta raha
Jaane kiski humein lag gayi hai nazar
Is shehar mein na apna tikana raha
Koi chahat se na apni chalta raha
Khamakha bewajah khwaab bunta raha
Dard pehle se hai zyaada
Khud se phir ye kiya vaada
Khamosh nazrein rahein bezubaan
Ab na pehli si baatein hain
Bolo to lab thartharatein hain
Raaz ye dil ka na ho bayaan
Hoga na ab asar humpe nahin
Hum safar mein to hai Humsafar hai nahi
Door jaata raha, paas aata raha
Khamakha bewajah khwaab bunta raha
Aaya wo phir nazar aise
Baat chidne lagi phir se
Aankhon mein chubhta kal ka dhuan
Haal tera na humsa hai
Is khushi mein kyon gumsa hai
Basne laga kyon phir wo jahaan
Wo jahaan dur jis se gaye the nikal
Phir se aankhon mein karti hai jaise pehal
Lambha beeta hua ,Dil Dukhata raha
Khamakha bewajah Khwaab Bunta raha
Tu ne jo na kaha
Mein wo sunta raha
Khamakha bewajah khwaab bunta raha
Jaane kiski humein lag gayi hai nazar
Is shehar mein na apna tikana raha
Koi chahat se ab apni chalta raha
Bhuj gai aag thi Daag jalta raha…