Ohre taal mile nadi ke jal mein,
nadi mile saagar mein,
saagar mile kaun se jal mein,
koi jaane na.
Ohre taal mile nadi ke jal mein,
Suraj ko dharti tarse, dharti ko chandrama
Dharti ko chandrama
Paani mein seep jaise pyaasi har aatma.
Pyaasi har aatma
O mitwa re….
Paani mein seep jaise pyaasi har aatma.
Boond chhipi kis baadal mein.
Koi jaane na
Ohre taal mile nadi ke jal mein,
nadi mile saagar mein,
saagar mile kaun se jal mein,
koi jaane na.
Ohre taal mile nadi ke jal mein,
Anjaane hothon par kyon pehchane geet hain.
Pehchane geet hain.
Kal tak jo begaane thhe janmon ke meet hain.
Janmon ke meet hain
O mitwa re…
Kal tak jo begaane thhe janmon ke meet hain
Kya hoga kaun se pal mein
Koi jaane na
Ohre taal mile nadi ke jal mein,
nadi mile saagar mein,
saagar mile kaun se jal mein,
koi jaane na.
Ohre taal mile nadi ke jal mein,