Kaala Bandar (The evil within us)
Aao hum sheesha dekhen,
Us mein sandesha dekhen,
Apna ghayal hissa dekhen,
Apna asli kissa dekhen.
Ghoonghat ki gehrai mein,
Par failay kaunhai,
Jhak safed libason mein,
Kaala sa sach maon hai.
Kasmein to mumfali hai,
Jab jee chahe hum khaaten.
Upar se na na na kartein,
Par thali aagey sarkaten.
Ek thali ke chatte batte,
Armaan hain hatte katte.
Naatak ye nataak nataak,
Band kar do jhooth ka faatak.
Saare rit rivaaz hata kar,
Dekho apne ghar ke andar,
Shayad kahin kisi kone par,
Ghoom raha hai Kaala Bandar.
Aur pardon ke peeche parde,
Aur pardon ke paar kahin par.
Dard chhupa hai, ghaav chhupe hain.
Dard chhupa hai, ghaav chhupe hain.
Raaz kayi dabe paon ghuse hain.
Jaan ke bhi anjaan hain hum sab,
Paagal ya naadan hain hum sab.
Paagal ya naadan hain hum sab.
Jaane kaun se rang mein range.
Hamaam mein hum saare nange.