Jab shahidon ki doli uthe dhoom se,
Desh waalon tum aansu bahaanaa nahin.
Par manaao jab aazaad Bhaarat kaa din.
Us ghadi tum hamein bhul jaanaa nahin.
Laut kar aa sakey na jahan mein to kya,
Yaad ban ke dilon mein to aa jaayenge.
Aye Watan, aye Watan, humko Teri kasam.
Teri raahon mein jaan tak luta jaayenge.