Kahin karti hogi wo mera intezaar.
Jiski tamanna mein firta hoon bekaraar.
Kahin karti hogi wo mera intezaar.
Jiski tamanna mein firta hoon bekaraar.
Door zulfon ki chhaon se, kehta hoon ye hawaaon se.
Usi but ki adaaon ke, afsaane hazaar.
Wo jo baahon mein machal jaati, hasrat hi nikal jaati.
Meri duniya badal jaati, mil jaata karaar.
Kahin karti hogi wo mera intezaar.
Jiski tamanna mein firta hoon bekaraar.
Hey.. Armaan hai koi paas aaye.
In haathon mein wo haath aaye.
Phir khwabon ki ghataa chhaye, barsaaye khumaar.
Fir unhi din raaton pe, matwali mulakaaton pe.
Ulfat bhari baaton pe, hum hote nisaar.
Kahin karti hogi wo mera intezaar.
Jiski tamanna mein, firta hoon bekaraar.
Jiski tamanna mein, firta hoon bekaraar.