Aye dil-e-naadaan, aye dil-e-naadaan.
Aarzoo kya hai, zustzu kya hai.
Aye dil-e-naadaan.
Hum bhatakte hain, kyun bhatakte hain dasht-o-sehra mein.
Aisa lagta hai, mauj pyasi hai apne dariya mein.
Kaisi uljhan hai, kyun ye uljhan hai.
Ek saayaa sa, rubaru kya hai.
Aye dil-e-naadaan, aye dil-e-naadaan.
Aarzoo kya hai, zustzu kya hai.
Kya qayaamat hai, kya museebat hai.
Keh nahin sakte, kiska armaan hai.
Zindagi jaise khoyi khoyi hai, hairaan hairaan hai.
Ye zameen chup hai, aasmaan chup hai.
Phir ye dhadkan si chaarsoo kya hai.
Aye dil-e-naadaan, aye dil-e-naadaan.
Aye dil-e-naadaan, aisi raahon mein kitne kaante hain.
Aarzoowon ne, aarzoowon ne har kisi dil ko dard baante hain.
Kitne ghaayal hain, kitne bismil hain.
Is khudai mein ek tu kya hai.
Ek tu kya hai, ek tu kya hai.
Aye dil-e-naadaan, aye dil-e-naadaan.