Khaamosh sa afsaana – Lata & Suresh Wadkar

Film- Libaas (1988)- Banned by Censor Board in India
Lyrics- Gulzar
Music- R D Burman
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota.

Na tumne kaha hota, na humne suna hota.

Dil ki baat na poochho, dil to aata rahega.
Dil bahekta raha hai, dil bahekta rahega.
Dil ko tumne, kuchh samjhaaya hota.
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota.
Na Tumne kaha hota, na humne suna hota.

Sahme se rehte hai jab ye din dhalte hai.
Ek diya bujhta hai, ek diya jalta hai.
Tumne koi deep jalaaya hota.
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota.
Na Tumne kaha hota, na humne suna hota.

Kitne saahil dhoonde, koi na saamne aaya.
Jab majdhaar mein doobe, saahil thaamne aaya.
Tumne saahil pehle bichhaaya hota.
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota.
Na Tumne kaha hota, na humne suna hota.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s